Friday, October 11, 2013

Excuse me Sir…


Zara aap hi bataiye jab 8:55 am office pahunchane ka waqt ho aur ghar pe hi 9:05 am baj jaye toh mann ka waqt kitna kharab hoga…Office der se pahunche uska dar nahi hai…malaal toh iss baat ka hai ki hafte mein 2 din late office pahunche toh 1 din ki salary…han!! Cut!!! Waise ghar se max 12 minutes ka raasta hai office ka par ye bhi sach hai ki “Nazdeeq walon ki hi gaadi chhootati hai” aur who bhi tab jab 20 mints grace time bhi mil raha ho….waise main har baar waqt pe hi pahunchata hun…par in dino humari taraf 2014 ke election ki taiyari ho rahi hai…taiyari matlab makeup…jahan facial kar ke bhi kaam chalaya ja sakta hai wahan plastic surgery karayee ja rahi hai…samajh gaye honge agar aap waqai “INDIAN” hongein…han! sahi samjha…sadak ban rahi hai humari 20’ gali ki…ek coat kar dete toh shayad sadak achhi ho sakti thi aur chal bhi sakti thi kaafi dino tak par…yahan policy hoti hai “Kuchh kharch, Kuchh rakhh” wali…khair main bhi kya sunaane laga…kehna toh Kuchh aur chah raha tha phir bhi isse consider kijiyega kyunki sirf 100 miter sadak banane mein abhi tak 16 din ho gaye par uski half sadak bhi tiyaar nahi hui…sadak khodi…gehraai hai 3’ (3 feets) ab aap hi bataiye aise mein parking se 4 wheeler kaise nikalun…maan lo nikaal bhi li toh phir chadhaun kaise…mushkil kya, nuksan aur khatara bhi hai…yahi wajeh hai ki Kuchh paidal phir auto se hote hue office pahunchata hun…par aaj toh Hud ho gayee….!!! Iss waqaye ko detail mein bata hun…ho sakta hai hansi bhi aaye apko

                      Excuse me Sir…Auto Please….!! Sadak cross karte hi yahi awaz aayee thi kahin se…muda toh dekha ki ek banda welcome karte hue ‘mujhe auto chahiye kya ye pooch raha tha’…maine kaha “YUP” phir usne poochha…Where sir…maine address batay…Sure Sir, maine pooochha “HOW MUCH” phir ek smile ayee ‘Only 70 rs.’…ab mujhe hansi aayee aur ab maine welcome kiya…”saala tum ne toh SIR keh ke SAR hi kaatane ka jugaad kar liya” ab woh thoda apne aap mein aaya…khud pe hansa….kyunki pal bhar mein usne ek INDIAN ko uske ghar se beghar kar diya tha…shayad Videshi samjh baitha tha mujhe…ghalati uski bhi nahi hai…personality bhi meri Kuchh aisi hai…handsome hun aur physic bhi ENGLISH Man ki samjh lo…phir main pal bhar ke liye flash back mein chala gaya…apna bachpan yaad aa gaya mujhe “school time mein jab bhi play hota aur angrez ka character ho toh ANGREZ ka role mujhe hi milta tha…ussi accent mein Hindi bolni padti thi…ye alag baat hai ki English mein baat karna nahi aata tha…chaliye lautate hain vartamaan mein…Ab tak uto driver samjh chukka tha ki ab apni jageh pe aa jaana chahiye, par usse ghalati ho chuki thi…par ghalati ko sudhaarate hue kaha “ Sir maine sahi bataya hai, chaliye 60 de dijiye…par usse kya pata ki main bhi typical INDIAN hun…jahan main daily 40 rupaye deta hun wahan 45 tak mein bhi taiyaar na hun…houn bhi kaise har cheez toh aaye din mehangi ho rahi hai aur pocket tang…aur tangi mein mandi ka sauda kyun …jabki auto wala bhi issi tangi se pareshaan kuchh jugaad mein laga tha par main kyun…??? jabki seedha raasta 3 KM only, oopar se LPG…meri petrol Car hai toh mujhe daily ke 60 rupaye padte hain aane jaane mein…khair main zidd pe ada raha tab tak doosara auto wala aaya phir usne bhi 70 bola toh pehle wale ne bola “Dekha sir maine sach bola na” maine kaha “isharon isharon mein BILL lene wale, bata ye hunar tu ne sekha kahan se…..” phir who muskuraya main muskuraya phir hum apne apne raste chal pade, aur jaakar khada hua uss jageh se thoda alag…kyunki saare unke group ke autos the…second try bhi kar chukka tha phir bhi, teesare ko roka, chauthe ko roka aur 40 rupaye dekar Office…theek 20 grace minute ke ander…lekin abhi tak mujhe who sentence nahi bhool raha “Excuse me Sir….”!!!

No comments:

Post a Comment