Wednesday, November 6, 2013

Qeemat ‘PANI’ ki nahi PYAAAAAAAAS ki hoti hai…


                              Agar apke ghar mein bachche hain aur unhein achhi education dena chahte hain toh kamar kass lijiye, aur 2-4 jodi joote chappal le lijiye…kyunki ab aap ban gaye hain “RACE” ka "GHODA"…daud-daud ke ye saare ghiss sakte hain…par han! daudane se pehle sone ke chane zaroor chaba lena…kyunki yahan “jitni jeb bhari utni hi tez bhag payenge aap”…!!! Waise ho sakta hai apke liye ye sab naya na ho…par jinhone ye mausam nahi dekhe hain “unke liye toh suhaana ho sakta hai, ya yun keh lein sambhalne ka achha bahaana ho sakta hai” 2 Experiences jo shayad apko chaunka de aur kaam bhi aaye.…
1.       Mera ek friend hai, ek MNC mein Software Engineer, 4 saal ki beti, hoshiyar, educated (Yani English bol leti hai), uske admission ke liye 60K donation kii zaroorat…jiska apko receipt nahi milegi…kyunki ye “ameeron ke liye daan” hai, iss donation se apka tax bhi save nahi hoga, khair…par mere friend ki ‘PYAAS’ thodi zyaada thi, achha kamaata hai, toh usse kaha gaya ki “itna ....hai, ab apki marzi aap jitna....de dein ‘badhakar’, usne race mein First aane ki than li thi…sawal beti ke future ka tha...usne diya 80K…who bewakoof bhi nahi hai kyunki usse pata hai Test mein Qualify bhi ho jaye toh uske marks uske donation ki value mein add kar ke hi calculate hoga…aur jab baat aisi thi toh usne risk nahi liya jeb thodi aur halki ki…toh seat confirm ho gyee…Congratulation!!!! Ab beti TOP toh zaroor karegi…na kahin toh shayad apne ghar mein hi TOP aa jaye…it's not a comment but near to reality!
2.       Ek aur friend hai aajkal who bas depression ke qareeb pahunchane wali hai…har din uthate-baithate bete ke admission ki chinta mein rehti hai, par baithi bhi nahi hai…chappalein ghiss rahi hai…har achhe school ki site pe survey, logon se mashvira, par samne khadi thi Donations ki deewarein 1 Lakh 20 thousand, 1 Lakh, 80 K, 70k, 60k etc. Budget utana nahi…par school bhi ache chahiye…Education se leke safety-security tak sabbb perfect hone chahiye…teachers atleast B.Ed. toh hone hi chhaiye, class room se outdoor sab clean and healthy environment bhi chahiye hi…toh jitni chahat utni moshakkat…at last 75k wala school pasand aaya… Interview clear…Written Test…idher maa bete ki qabliyat pe confident ki test qualify kar hi lega…udher school confident ki ab toh ye admission legi hi…iss becch Parents ke zehan mein ek sawaal utha ki “kahin school mein paise doob toh nahi jayenge” raqam moti thi toh dar bhi bhayawah...aur iss dar ki wajeh bhi thi…yahin pe "Delhi Public School” ke naam se, uski franchise lekar ek hungaamedar school ki opening hui, parents ne “dedh se 2 lakh tak” donation bhi diya, dhadalle se bachche ke bhawishya ke peechhe daud lagaye gaye par koi tha jo inse tez daud raha tha...BEIMAANI...Khoob admission liye gaye aur Kuchh dino baad sab lekar rafu-chakkar!!! Naam-o-Nishaan tak nahi bacha...par isne ab thandhi saans li bete ka ADMISSION ho gaya munh se nikla "BAHUT BADA KAAM HO GAYA"
                          Ab Kuchh sawal “Kya ANGREZI ki qeemat itni zyaada, Kya hum ANGREZ banaana chahte hain, kya hum school ke roop mein “apni beti ko vida karne ke liye achha ghar dhoondh rahe hain” ya phir kya kal ko sirf 99% obtain karne walon ko hi Oxygen milega!!! Dr. Rajendra Prasad “Swatantra Bharat ke Pehle RASHTRAPATI” pata hai shuruati education unko ek maulavi se mili thi…”Persian Hindi aur Arithmetic” ki, phir Chhapra (BIHAR), phir Kolkata…yani uss zamaane ke craze se, unhone mehsoos kiya hoga “ no need to go abroad” aur unke copy pe kya likha gya tha Examiner ke dwaara "examinee is better than examiner" yani “pariksharthi prikshak se uttam hai”. Mere NANA, jo mere Role Model the, aaj bhi hain aur  humesh rahenge… kya who kisi se kum the English, Persian, Arabic aur Hindi-Urdu mein, Suleman Chacha, mere muhalle ke Post office ke “DAAK BABU” Nana ke Jodidaar…Arabic, Persian, English, Hindi sabbb bilkul saaf n attractive…!!! Bhaiyon aur Bhaiyon ki behno…humein abchchon pe waqt dene ki zaroorat hai baqi sab theek ho jayega…TOP koi ek hi kar sakta…aur agar uski understanding level sahi hai toh usse TOP hone se kisi ka <BEEP> bhi nahi rok sakta…toh ye maan lijiye sab ki understanding level, sabka interest area ek sa nahi hota…iss liye zabardasti uski TANKI full na karo…warna bachcho ki “TANKI” full ho jaye na toh phat bhi sakti hai…Issi liye “PYAAS ghatao…kyunki Qeemat PAANI ki nahi PYAAS ki hai”

No comments:

Post a Comment