Saturday, June 14, 2014

Chalo school chalaa jaye.....





                                          Mujhe apna college ka pehla din yaad aa gya…jab humare Profeesor sb. ne ek essay likhne ko kaha tha… “1st day of my college” …par aaj na hi main keh sakta hun aur na hi class teacher…ki ek essay likho “1st day of my SCHOOL”…shayad ab koi bhi samjh sakta hai…ki Aaj meri  dhaai saal ki beti “AAYAT” ke play school ka 1st day tha. Mere khud ke school days yaad nahi, ho sakta hai Aayat ko bhi apna 1st day of school yaad na rahe, issli liye iss lovely cute beti ke PAALE (pyare) PAPA khud usse likh rahe hain…taake uske ye platinum moments memory se washout na hon…!!
Date thi 11th June 2014, subeh 8 clock ho raha tha, maine Aayat ko uthaya…9:30am ko school pahuchana tha, normally I use to call BETA or BABA…!!! Maine kaha… “BABA uthiye School nahi jaana kya….jawab kya aaya…? ”nahi Papa, abhi sone ka time hai”…ha ha ha ha…mujhe bahut hansi aayee…Sone ka time hai, iss baat ko sun ke.  Phir achanak Aayat uth ke baith jaati hain…aur poochhati hain kya bola Papa? Maine kaha yahi ki…”  BABA uthiye School nahi jaana kya…” phir who khush hote haue kehti hai… “Han Papa jaana hai….CHALO SCHOOL CHALA JAYE”. Phir hua miracle…jo har roz brush karne ke liye humein char chakkar ghumati thin aaj wahi Aayat khud kehti hain “Mumma Jaldi se BLUSH kalaooooooo (Brush karaao)”.  Aaj sebechari muuma ki duty double ho gayee thi…pehle sirf meri zimmedari thi aur ab Aayat add ho gayeen…Wife kitchen se bhaag ke aati hain aur brush karati hain aur main apne kapde press karne mein busy ho jaata hun par sath mein direction bhi chal rahi hai…meri bhi aur Aayat ki bhi…achanak issi beech Aayat kehti hain “Papa Dadi ko phone lagaiye”  main hairaan tha…”isse ab tak yaad hai!!!” darasal raat ko sone se pehle baat hui thi…ki ‘beta jaldi so jaiye, subeh Dadi se baat karni hai’, 

                                                            khair…Dadi se khoob baatein hoti hain, apni khushi ka poora izhaar kiya jaata hai aur daadi ki dher sari duaayein milti hain…phir taiyari qayam…ab mera lunch second priority ho gaya…isliye nahi ki Aayat ko pehle nikalana tha, hum dono ko sath jaana tha…par Aayat ko jaldi thi taiyar hone ki….”Mumma jaldi karo School ko der ho jayegi”. 9:30 am pahunchana tha…par haavi tha School ka craze, jo aaj poora hone wala tha…waise ‘SCHOOL KIT’ milne se aaj tak, har raat 2 baje bhi, Bag kaandhe pe taang ke School ke liye nikalne ko taiyar….!!! Ab baari dress ki , Wife so confused, ki Dress kya pehnaya jaye par jab bag open kiya, toh confusion door…kyunki maine pehle hi Aayat ke dress ko set laga kar rakh diya tha…dress pehanane ke baad, Aayat ki speed aur badh gayee…Mashallah bahut Cute lag rahi thi…par abhi mujhe nahana baqi tha…Tab tak ‘Doraemon’ ne Aayat ko sambhala aur main bhi taiyar ho gaya…1st day tha, toh     Parents ko bhi kuchh excitement thi…par PAPA ki excitement phooo ho gayeee…jab School pahuchane ke baad teacher ne kaha…”Sorry Sir, Only Mam can come inside the class room”, jhenp gaya main…phir aahiste se maine kaha…”then I should leave  now” phir teacher ne smile karte hue kaha…Sorry again Sir” kya kehta…No No…its ok. Par hua kya Aayat Papa ko miss kar rahi thi…!!
                                                             Mumma : Class room mein gaye toh kafi bachche the, sab apni apni Mom ke sath, infact GOAD mein, Aayat bhi mere Goad mein thi…bas farq itna hi tha ki almost saaare bachche ro rahe the aur Aayat beparwah thi!! Par Jab Teacher ne kaha ki “What’s ur name baby” toh Aayat ke totte ud gye..kuchh  jawab nahi diya, phir Teacher ne Rhymes ko gaane ke liye kaha to Aayat kehti hain “mujhe doodhu peena hai”, mujhe hansi aayee aur teacher bhi muskurayee…” phir teacher ne painting ke liye kaha toh bina waqt ganwaye shuru ho gayee….(darasal Aayat ghar mein achhi painting kar chuki thi, practice thi…lip gloss se wall pe, phir meri car ki keys se aur Good Knight ke pin se…aur banane ke baad kehti kya hain, “Babu so rahi hai, light off kar ke…” phir achanak Aayat ko apki (apne Papa ki) yaad aayee aur kehne lagi  Mumma chalo neeche Papa wait kar rahe honge…ro rahe honge…jab neeche aayee toh apko na dekh ke kaha ki “Jaa!!! Papa kahan chale gayein…Office?” maine kaha han…Office chale gaye. Phir Aayat ko ek aur duniya mil gayee…khel ki.. wahin, campus mein thodi der khelne koodane ke baad ghaar lautane ka waqt ho gaya! Pehla din tha toh time 1 ghanta hi tha yani 9:30-10:30. Paas mein ghar aur minute mein pahunch gayeen…pahunchate hi aisa laga ki ghalat jageh aaa gayeen…phir wahi baat hui…jo aam bachchon ke sath ulti hoti hai…Aayat kehti hai mumma mujhe phir se school jana hai…!! Wife shocked!!! Aayat phir duhrati hai …” Chalo n school chalaa jaye…”
2nd day…. “mummaaaaaa daldi tallo ( jaldi karo) school late ho daungiiii (jaungi)….”

3rd day…. “Papa itkool (school) nahi daundi (jaungi) mere pet mein dalad (dard) ho laha hai…
Enjoy this post….
"AwaZ"

1 comment:

  1. Really wonderful.. felt as if its my life..my school days. absolute picturesque. Life is truly b'ful and the school days makes it the best. ur daughter may forget her this day but later wld love her parent's efforts to make her first day to school preserved.

    ReplyDelete