Waise hai toh ad ek pan masala ka par punch line bahut mast
hai… “Shauq badi cheeez hai….” Aise hi
ek punch ‘word’ bhi hai jo khud mein bahut lazeez hai…par agar who istemaal sahi jageh pe hua toh….aur who word hai, Takhliyaaaaaaaa!!!
Toh
ab kahiye Tkahliyaaaaaaaa aur chaliye humaare sath… jee han! Bhaiyon aur
bhaiyon ki behno, aaj hum aap sabhi ko uss jageh pe le challenge jahan aap
chahein toh khud ko khud hi entertain kar sakte hain, khud hi khud ki peeth
thapthapa sakte hain aur chahein toh khud ke matlab ke liye kisi ka dil bhi
jeet sakte hain… who bhi nawaabon ke isstyle mein….aur keh sakte hain
Takhliyaaaaaaaa!!! Aur who jageh hai apke ghar ki KITCHEN.
Khaane ka shauq
kisse nahi hai…aur agar khana shauq se khane ke sath-sath, shauq se banaya bhi
jaye toh ‘Wah kya baat hai…’!!! main ye nahi keh rha ki sabhi banayein par jo
banaana chahta hai, who banayein, aur unhe
jo aanand aayega hai uska kya kehna who sirf wahi bayaan kar sakte hain… isska
andaza hum nahi laga sakte...! Iss anand ko maine jiya hai aur barahan jiya
hai…iske do fayde hain ek toh gharwali happy aur doosara aur sabse important
khaane ka swaad hud se zyaada. Shuruat karni chahein toh bas sahi waqt wahi jab
aapko bhookh lagi ho tezzzz aur khana banane mein lagne wali ho derrrr … phir kya ghus jaiye
kitchen mein aur phir hoga ye 'bhookh chali jaygi baaju mein aur khana banane lagega
swadisht…' guaranteed!! Nahi aata banaa toh bhi achha hai, patni se poochh lijiye,
unhein apka poochhana achha lagega, aur agar patni ji ke paas na ho waqt toh
Youtube hai na…uspe maaro enter aur phir, shhhhhhh!!!!! lazeez pakwaan apke
dining table par.
Pata hai main
kya karta hun, You tube pe Sanjeev Kapoor se shuru karta hun aur ek grihani ke
bhi pakwan ka tak ka leta hun jayeza aur ant mein banata hun pakwan khud ke style mein…buzurgo ne kaha
hai na “Suno sabki karo apni” toh bhai aise mein ban jaata hun main Ghar ka “Master
Chef” aur aapko achhi tarah pata ho ki jab aap kitchen mein ghuste ho toh sabse
zyaada emotional Gharadi (Gharwali) hoti hai aur sabse zyaada tansion bhi
gharaadi ko ho hoti hai…Emotional isliye ki ‘khane ki shakl mein pati ka pyar milta hai’
aur tension isliye ki "aaj toh hua kitchen ka styanashhh"…khair main toh ek hi
kaam karne deta hun…EMOTIONAL…kitchen se nikala toh pehle se bhi saaf". Ek important baat aur agar aap apni Creativity ke liye
mashhoor hain toh “KITCHEN is one of the best place to show your Creativity”.
Jaise main Qayede se RJ aur profession se Creative Head…iska fayeda ye ki "Kitchen mein mere sath sath recipe bhi creative ho jati hai…! Aaiye dete hain kuchh examples...
ab parso hi ki
baat hai ghar mein kuchh nahi 'hari sabzi' ke naam pe…siwaye “Shimla Mirch” ke,
yahan tak ki payaz bhi nhi…wife aayee tension mein aur hum aaye attention
mein…humne kaha priyatama, ab jao khelo beti aur amma, hum chalte hain rasoi
mein aur karte hain kuchh intezaam…ab zahir si baat hai jab office se laut ke aap kar lete ho change phir bahar jaane ka mood kahan rehta hai...humne khoob socha, phir, Maa You Tube ko di
awaz aur ek awaz mein pahunch pade India ke bade bade chef…humne samjha jab ‘hum
hain itne special toh ho jaye something Special!!’ saare link chhan diye phir
pehli baar apni cooking life mein bina pyaz ke sabzi banaayee, aur banaya
“Aloo shimla mirch” pic mein dekhiye final report hai, ab aap hi bataiye hai na
mazedar…iski khas baat ye ki meri family ke hisaab se kuchh bhi zyaadati nahi hui, matlab taste bhi aaya aur bitiya tak ne maze se udaaya aur kaha... Dad...wow, mazaa aagaya!!Confidence badha aur office bhi le aaye...yahan bhi sabne liye chatkare aur ishaara bas wahi, wah! kya baat hai...kuchh ne ki recipe ki demand humne dil hi dil kaha wah aaj ban gaye tum master chef...!
kal socha kuchh
alag karne ko, phir pata laga wife ne bhigoye hai chhole…aap yaqeen nahi karoge pehli
baar itne tasty chhole bane, aise chhole ki aap chahho toh bhature ke sath kha lo,
chaho parathe le lo, yahan tak ki rice bhi chala sakte ho…matlab ungli chaatane
wala taste aaya…bitiya rani bhi chatkhaare le rahi thin…waqt laga aur iss bar
recipe bhi rich thi…kabhi banane ka jee kare toh khud ko rokiyega matt, mujhse behichak pooch sakte ho aur aap aazma bhi sakte ho…dekhiyega ungliyan na chati toh phir kya kahun…han “dubara
try karna”. Ek baat bata dun apko, jaise photography mein ‘light & angle’ important
hota hai theek waise hi cooking mein ‘timing and flame speed’ important hota
hai…so be ready, dil jeetane ke liye…just say Takhliyaaaaaaaa!!!
"Awaz"
No comments:
Post a Comment