Sunday, November 20, 2011

SOCHATA HUN KABHI...













sochata hun kabhi, kabhi khud ko main dekhata bhi hun

kya uski nazar ka noor main ban sakta bhi hun

saada hai pairahan uska, husn bhi saada saraapa
kya uski saadgi ko main samjh sakta bhi hun

uska chehra mera aaina bane chahat hai yahi
kya uski tabassum ka bharam main rakh sakta bhi hun

aankhein hiran si, hoth bhi kanwal se uske
kya inki tarah sach main bol sakta bhi hun

ek nazar ispe....

har aate-jaate chehre se meri nazron ne poochha hai
kya tujhmein kabhi uski, jhalak main pa sakta bhi hun

woh husn hai main ishq hun, par dekhana hai iska
kya usko bhi yaqeen, main dila sakta bhi hun

do qadam jaana ke sath, chale toh the magar
kya qadamon ko aage, main mila sakta bhi hun

main 'awaz' hun nasha hai uska rag-rag mein mere
kya aage bhi ye khumaari main le ja sakta bhi hun...

"AwaZ"