Thursday, October 3, 2013

thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun...


Ek aur Show 101.9 FM pe, Dil Ki Baat Adil Ke Saath” socha tha ki zara ye bhi janoon ki “log khud ko kaise sambhalate hain, jab unhein kisi ki lat yani aadat lag jati hai…yahan baat paan, beedi cigarettes ya phir sharab ki nahi chalni thi , balki ye lat thi “Insan ko Insan ki” …Sochiye aap bhi  agar aapko kisi insan ki aadat lag jaye” toh kya karenge aap?  


Pehla hi song play kiya tha Rang film se…”Tujhe na dekhun toh chain mujhe aata nahi hai, Ek tere siwa koi aur mujhe bhaata nahi hai…” toh iske jawab mein ek Listener ne ye likha ki “Tujhe na sunun toh chain maujhe aata nahi hai, ek tere siwa koi aur mujhe bhata nahi hai…” padh ke chehre pe ek smile aayee, laga ki hum jisse soch bhi nahi sakte koi aur uss hud tak bhi soch sakta hai…par jawab wahan bhi nahi tha mere sawal ka. Khair mudda sensitive tha par bahut hi common. Kyunki har insan ek “social animal” hi kehlata hai jo ek sath kayee relations se juda rehta hai aur har rishte se kahin na kahin concern bhi hota hi hota hai…seedhe lafzon mein kahein toh uss insan ki apki life mein importance hoti  hai…aur yahi importance “ummeedon” ko janm deta hai, aur yahi ummeedein taye karti hain ki aap kisi k liye kiss hud tak betaab ho sakte hain…yahan ek baat maine bahut saaf-saaf mention kar diya tha ki… “Aap sabhi relations ko ek point par na rajhein, ye broad level pe hai…yahan har rishta shamil hai”

                                   Kayee jawab aaye, par Kuchh jawab aise the jo waqai appreciate karne layaq the…isko decide aap bhi kar sakte hain…aur yahan par mere likhne ka matlab bhi yahi hai, jo bhi kami ho usse aap poori karengen…

1. Ek bande ne kaha ki Adil “hum insaano ke ander do (2) mode inbuilt hote hain “SAVE” & “DELETE” aap usska bakhubi use kar sakte hain…” Iss baat pe mujhe bahut tagadi hansi aayee…literally main phoont ke hanss pada…phir jo e line usn boli meri bolti band ho gayee, main silent mode mein chala gaya…usne kaha ki…”Yaqeen maniye Adil, humaari soch inn dono mode ko control kar sakti hai, par uske liye apko taiyaar rehna padega….maine clap bhi kiya…!

2. Ek aur listers thin unhone apni beti ka hawala dekar kaha ki…hum usse itna attach hain ki school chali jaati hai toh zindagi mein ek khalipan sa aa jata hai…toh main uske toys, kapde yahan tak ki uski tasweer dekh kar waqt kaat lete hain…ye bhi mujhe khubsoorat jawab laga. Para yahan uske lautane ki ummeed hai tab asaan hua par jab ummeed chhoot jaye ki koi jakar dubara laut nahi sakta toh.


Toh ek bada hi simple sa raasta bataya maine aur ek she’r ki 2 lines padhi maine…jo meri life mein kaafi mayene rakhti hai…aur who she’r aisa hai

“na itna toot ke miliye ki dil ko shak guzre

Khuloos mein bhi zaroori hai faasala rakhana”


Yahan khuloos ka matlab “Attachment, relations” etc. maineye kaha ki kisi bhi relation ki shuruaat mein hi humein taye karna hoga ki ye kahan tak jaana hai aur itna zaroor sochana hai ki jo aaya hai woh jayega! Aise mein ye dooriyan ummeedon se compromise karana sikha deti hain, Gulzar sb. ne bhi apne “Pukhraj mein Kuchh aisa hi likha hai…ki,

Takiye pe tere sar ka wo tippa hai, pada hai
chaadar mein tere jism ki wo sondhi-si khushboo
haathon me mehakta hai, tere chehre ka ahsaas
maathe pe tere hothon ki mohar lagi hai
Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhun kaise
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun

Iske 2 line pe ghaur karo aap log….


“Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhun kaise
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun”


Sab sath hai, yaad sath hai, ehsaas saath hai khushboo sath aur tu bhi sath hai…phir Aapne agar science padhi hogi toh yaad kijiye humara “Least distance of distinct vision” 250mm/25 cm./10 inches bataya gaya hai, agar usse  qareeb object aa jaye toh dhndhali dikhti hai. Theek waise hi ek khas doori se hum zyaada close ho gaye toh ummeedein tootane ka dar hota hai aur tab pahunchati hain taqleef. Ek baat auar hum Nazaron se door rahein ya paas…dil mein jageh honi chahiye woh bhi khuloos wala par kumtar ummedon ke sath. Jagjeet Singh ki ek ghazal hai na “haath chhoote bhi toh rishte nahi chhoda karte…” So beware of distance and keep with LOVE. All the best.

1 comment:

  1. distance rkhne me khasa anubhav rkhte hain aap apki likhawat se lgta hai aisa

    ReplyDelete