Subeh uthane ke sath hi zehan ko
jhakjhor diya mehaz ek khayaal ne, kaise bataun uss “khayaal bhar se dar lagta
hai…” aaj se chhatthe (6th) din main ghar ko jar aha hun Eid celebrate
karne…dimaagh toh allow nahi kar raha tha kyunki haalat Kuchh tangi si
hai…poore tour ka kharch rok raha tha mujhe par dil mein “Ammi” ki mohabbat ka
jazba qadam ko aage badhne ke liye samjho baar-baar command de raha tha…aur
chabhi pad bhi gayee thi…
main, meri wife aur meri 2 sal ki
bitiya…jinmein meri jaan basti hai…teeno chale ja rahe hain, ghar ke liye, AC 2
tier ke pehle hi cabin ke 2 berth humaare the…aur dono hi berth upper…ab family
sath ho toh apko kayee zarooraton ki wajeh se neeche utarna hi padta hai….kayee
baar train se bahar platform par bhi…waise bhi ye train 5 states se guzar kar
mere ghar ko pahunchati hai…lamba rout toh stoppage bhi khas-khas aur khas
jagahon pe nazaara bhi khaas…chahe Nazar khaane ki cheezon pe jaye ya phir
idher-udher thodi der ke liye aap shunya mein chale jaate hain...mere sath bhi
wahi hua…Train ki Average speed waise toh qareeb 45km/hr. phir bhi humari speed
se angina times zyaada…khas kar uss waqt jab aap chhoot chhoot gaye hon…!! Hua
waisa hi Kuchh…aahista-aahista train platform se sarakti gayee theek waise hi
jaise waqk ret ki tarah haathon se sarakta hai…peechhe muda toh na train
platform pe thi aur na hi jaan badan mein…zamana ke hisaab se khayal bhi aaye
toh bure bure…kyunki ye koi “JAB WE MET” film bhi nahi thi ki taxi se bhaag kar
hum agale station pe train ko pakad bhi lein…kyunki aajkal long rout pe jaane
ke liye har jageh shahar se baahat xpress way hone laga hai jitni jaldi
pahunchati hai shehar ke raaste utne hi slow hote hain…sab ke sath ek khayal ki
meri biwi bachche ko kaise sambhal payegi…ye bhi yaad nahi ki uske paas paise
hain bhi nahi, phir sukoon ye bhi hota ki agar usne khud ko sambhal liye toh
seedhe ghar toh pahunch hi jayegi…phir khayal aaya ki kahin pareshani mein meri
chul-buli beti kahin aur raste nikal gayee toh…phir ye bhi khayal aata ki kahin
TTE ne badtameezi ki toh…aur khayal ye bhi aaya toh…ki kisi ne mashwira de diya
ki aap kisi nazdeeq ke station pe utar jao wahan apke Husband asaani se pahunch
sakte hain toh….bas bas bas!!!! Itna hi kehte hue maine khud ko vartamaan mein,
present mein kheench kar laya…!! Saansein tez-tez chal rahi thin, maathe pe
paseena aur seena dhak-dhak maar raha tha…bhag kar bedroom mein gaya toh dono
“Biwi aur Beti” araam se so rahe the, phir ye socha ab train nahi ghoom-ghoom
kar hi sahi par flight se hi jayenge.
Jab toofan thama toh Ek sawal mere
zehan mein aaya “kya main inse itna pyar karta hun” ?
No comments:
Post a Comment