Chhoti chhoti baatein yaadein ban jaati hai…
Jab hum chhote hote hain toh kuchh bhi humaare liye mayene
nahi rakhti siwaaye iske ki “mujhe jo karne ka dil hai woh karna hai…bas!!!” han
albatta humaare bade isse evaluate zaroor karte hain ki ye kitni badi baat hai
ya phir yunhi jaane dene wali baat hai. Khair ab hum bade ho gaye hain phir bhi
kuchh cheezein ab bhi bade ki nazar se nahi dekhana chahte…jaise unn dino ko
jab poori colony mein sabse pehle telephone humaare ghar aaya tha, ya phir Tv
aur uske baad VCR (Video Cassettes Player). Ha ha ha…gr888…aap bhi pahunch gaye
apne haseen dino mein…aaiye mere sath sath aap bhi sair kijiye apne unn dino
mein jahan hum chhote the aur humaare liye har cheez badi hua karti thi…iss
dauran mujhe poora yaqeen hai apki har feelings phir se janm lengi…stay with me….!!!!
Tring-Tring
baja nahi ki "HUNDRED meter" ki race lag jaati thi ghar mein…sabse chhota tha toh
haq main hi jataata tha…chahe kabhi kabhi pit-pita ke hi haq paya ho…par phone receive
main hi karta tha aur kabhi yahi race, marathon mein badal jaati thi, jab pata
ye chalta tha ki ye call toh baju wali colony mein rehne wale uncle ki hai…bachche
mann ke sachche hote hain, aapne suna hi hoga…na hi door-nazdeeq ka bhed-bhaw
aur na hi bulane mein koi hichak hi karte the kabhi…par dheere dheere ye josh
kum hota gya…wajeh chahe ye ho ki bula bula ke thak gaye the hum ya phir ye bhi
ki hum bade bhi ho rahe the…jaise filmon mein daudate daudate bachche bade ho
jaate hain….ha ha ha…aapne bhi dekhe honge 70s ki movies mein bachche aise hi
bade hote the…aur ye movies Tv pe dekhe who bhi DD National pe, jo
entertainment ka eklauta aur bahut hi khubsoorat zariya hua karta tha…one n
only option…yahan par ek proverb yaad aata hai jo hum jaise students ne hi
create kiya ho shayad “less option less confusion, no option no confusion”…humare
paas ek hi option tha “DOORDARSHAN” aur hum sab sukhi the uss daur se jab
chitrahaar aane ke sath hai entertainment ka festival ho jaaya karta tha colony
mein kyunki sirf ek hi Tv hua karta tha humari colony mein…aur who tha humaare
ghar mein…who bhi shutter wala…aas-pados sab ek hi ghar ke member lagte
the…chai-naashta bhi…kabhi humare ghar se toh kabhi sab apne apne ghar se kuchh
khaane ka laate aur ikatthe khaate…bahut miss karte hain hum Unn shukrawaar (Friday)
ko jab Chitrahaar hum sabko ek jut karta tha ya phir Sunday ki movie. Phir baad
mein juda Sunday ki Rangoli…Rangoli jisse dekhne ke liye aankhein mal-mal ke kholani
padti thi…aur inn sabke saath “Cibaka Geetmala” jo har mangalwar (Tuesday)
Ceylon se broadcast hota tha uska rang kuchh feeka padta jar ha tha…jo 1988 ke baad
Vividh Bharati se aur har Somwar (Monday) broadcast hone laga…ye aisa radio
show tha jo bahut hi popular tha…aur humare ghar walo ka bahut favorite tha…par
chitrahaar ne uski jageh leni shuru kar di thi…par jaate jaate who awaz “Amin
Sayani” ji ki…mujhpe bhi kaafi asar daal gayee….aur log aaj bhi kehte hain ki woh
asar ab bhi baqi hai meri awaz mein…main bhi kabhi kabhi kehta rehta hun….par ”Behno
aur bhaiyon” nahi balki “Bhaiyon aur bhaiyon ki behno”…ha ha ha…woh bhi Radio
pe kehta hun….khair kuchh bhi kahiye ye andaaz amar ho gya…par audio iss daur
mein Video mein convert ho raha tha pehle hum song sun ke dance kiya karte the
par ab Song ki Video humaare samne hoti thi aur hum thirak rahe hote the… aapka
pata nahi par Tv pe maine jo pehli film dekhi thi who shammi kapoor starer “Jungali”
thi…par ye apne Tv pe nahi baju wali colony ke ek engineer sb. ke ghar pe…who Doordarshan
(Tv. Station) mein Engineer the…hum unke paas isliye jaate the ki ek toh uss
waqt humare ghar tv nahi tha aur doosara, agar kabhi light chali bhi jaye toh
battery thi jo film ka maza kharaab nahi hone deti thi…apne kaun si film pehli
baar Tv pe dekhi thi…bataiyega zaroor…!!!
Ek baar phir lautate hain pehle din ki taraf jab humare ghar
Tv aaya tha…par isse pehle hum ye bata dein ki jab humare paas Tv nahi tha toh school
friends ke beech hum dhauns jamaate the…dhauns samjhte hain na…kya likhu “ROB”
keh lijiye…rob jamaane ke liye hum kehte the ki mere “Bade Abba” ke ghar Tv hai…Bombay
mein rehte hain who….ha ha ha!!!! Samjh rahe hain na…ab zara sochiye jab bade
abba ki Tv pe itna rutba dikhaya toh apne Tv pe kitna hoga…par sach toh ye hai
ki ek zara bhi nahi aaya rob-rutba…balki sabse attach hone ka jee kiya aur dil
ye chahta tha ki jo log door kisi k k ghar Tv dekhne jaate the woh sab humaare
ghar hi aayein. Specially jab cricket match ho…aur muhurt bhi tabhi shuru hua
Tv ka. I think World Cup ka match tha, Shayad 1987 wala, calculate kar lijiyega….han!
tabhi humare ghar Tv aaya tha…hua ye tha ki humare ghar ki ladkiyan bhi cricket
ki badi wali crazy thin…koi match miss nahi karna chahta tha aur ghar mein Tv
tha nahi…sab ka mood off…aur main beparwah!!! kyunki sab bade the mujhse aur
sabki pahunch mujhse kum thi…matlab main kisi bhi colony mein kisi ke bhi ghar mein
ghus kar match dekh sakta tha kyunki main chhota tha aur sabse dosti asaani se
kar leta tha…par bade aisa nahi kar sakte the…toh ek din achanak main match
dekhkar ghar lauta toh humare ghar se commentary ki awaz aayee…mujhe laga ki
radio ki hogi par shak tab hua jab ye awaz kamre se aati mehsoos hui…kyunki
mere ghar mein koi aisa nahi tha jo ki commentary kamre mein sune…balki chhat, aangan
ya lawn mein sab dhoop mein baith ke ek ek short aur ek ek wicket pe uchhalte
the…arre han! Ek baat ye bhi thi…India mein sardiyon ke siwa kisi aur season
mein cricket ka naam-o-nishaan hi nahi hua karta tha…isliye hath mein ganne aur
samne radio…aur aaspaas maujmasti ka samaa….ek baat aur jab cricket hoti toh
umar ka bhed-bhaw khatm ho jaya karta tha…bachche jawan boodhe sabhi ek sath
shor machaate the…ek baat aur har ka favorite player ya chaheti team alag alag
hoti thi, kayee baar group mein bant jaate the hum…aur tease karna bhi hua
karta tha…khair kuchh bhi ho bada maza aata tha radio pe cpmmentary ka…khair
ghar mein gya toh sabhi Tv ke samne cricket ka lutf le rahe the, Tv pe nazar
padte hi chehre pe laali chhayee phir pal bhar mein udaasi bhi…chhota hone ki
wajeh se ziddi bhi tha aur nazuq bhi…ab zidd ye ki ghar mein Tv aana tha toh bataya
kyun nahi hum kahin aur gaye Tv dekhne…khair bachche koi bhi cheez jald bhula
dete hain humne bhi enjoy krna shuru kar diya…kyunki pehle hum Cricket ki “aankho
dekhi” suna karte the ab hum ankho se dekh rahe the…chahe kisi ek ko har baar chhat
pe chadhkar antenna ki treatment kyun na karni padti ho…antenna aur booster ki
tuning sahi kyun na karni padti ho…par aahista aahista Tv purana hota gaya
rishte bhi aahista aahista door hote gaye…jo kal colony ke log ek sath thahaake
lagaate the aahista aahista ek sath muskuraana bhi kum hota gaya…kyunki
technology ghar ghar mein dastak de chuki thi…nateeja humara Tv outdated aur
har ghar ki chhat Antenna se sajne lagi…
Ha ha ha....par who daur ek baar phir lauta jab humare ghar phir se bheed
jamne lagi phir se wahi mahaul banane laga jo Tv ke aane ke baad hua tha…saath
mein nashto ka daur chalane laga…bhabhiyan, auntiyan ab phir se apni si lagne
lagi…sab plan kar ke din din bhar mere ghar bitaaya karti thi aur iss bahaane
hum saare friends bhi ek sath rehne lage the….aur ye khushiyan mere ghar laaya “VCP
(Video Cassettes Player)”…mere ghar VCP aaya aur ab hum jab chahe apni pasand
ki filmein dekh sakte the aur dekhe bhi…colony ke logon ki pasand ki list
banati thi phir…ek rai banti thi aur phir chuni hui kuchh Filmon ki Video
cassettes laayee jaati thi aur ek saath 3-4 filmein dekhi jaati thi…kabhi Ghar
ki chat pe toh kabhi aangan mein amrood (Guava) ke ped ke neeche TV aur poora
aangan darshakon se khachakhach bhara hua…lekin ye khushi ke pal bhi zyaada din
nahi rahe…Shehar mein Video Parlors khulane lage jahan se log apni apni pasand
ki filmein rent pe laakar dekh sakte the who bhi VCP aur color Tv ke sath…specially
weekends pe aksar gharo ke samne rickshaw rukne lagi…jispe bada color Tv, VCR
aur chune filmo ki cassettes aur phir sath mein Operator bhi hua karta tha…doosari
taraf cinema hal ke parallel Video Hall bhi khul gaye aur film release hone ke
sath hi Cinema Hall se pehle Video hall mein filmein laga jaaya karti thin…maine
jo pehli film dekhi Video hall mein woh thi “Coolie”…yahan bhi VCR pe hi
filmein dikhayee jaati thi toh jo log apne ghar VCR nahi manga sakte the woh Video
hall aane lage…phir se mera ghar khali rehne laga…aur phir se padosiyon ke rishton
mein dooriyan badhne lagi aur jo VCP ka zayeqa tha pheeka padne laga…waqt ke
sath hum bhi bade ho rahe the aur higher education ke liye ghar, colony, shehar
se bahar nikal aaye aur aahista aahista who saari "chhoti chhoti baatein yaadein
ban gayeen…"aur wahi aaj apke samne jo aap jaisi hi hain…
No comments:
Post a Comment