Monday, July 21, 2014

Yaadon Ke Galiyare mein dil toh ab tak bachcha hai...



Pata nahi aapke sath hota hai ya nahi par mere sath kuchh ajeeb sa hota hai, par jo hota hai ek khubsoorat ehsaas deta hai. “jab bhi main Apni Yaadon Ke Galiyere ki sair karta hun toh main uss khaas lamhe ke mausam ki khushboo ko bhi mehsoos kar rha hota hun”.

Jalebi
aap hans rahe hain par aisa humesha hota hai mere sath Chahe hum jalebi (ek jalebi ped mein bhi lagti hai) tod rahe hon ya phir imli. Amrood churaa rahe hon ya phir ped pe hi baith ke khaane ka mazaaa le rahe hon...aaj bhi ye sab lazeez lagte hain...yaado mein, Kadam jaante hain aap, phal hai, khaya jata hai iske bade bade ped hote hain mango tree ki tarah, tasweer mein dekhiye, shayad samjh jayein, khane mein khatta par bahut achha lagta tha…dekhiye, abhi mere munh mein pani aane laga…Imli, ber samjhate hain na who bhi…aur Jamum bhi…!

Kadam
ye jitney bhi fruits bata raha hun main, usse humne bachpan mein kabhi nahi khareede. Ya toh ped pe chadh ke tod liye ya phir chura liye…par jamun ke ped pe kabhi nahi chadha…pata hai Kyun? Kyunki “chadhta toh Happy B’day ho jaata” bahut nazuq daaliyan hoti hain jamun ki aap bhi kabhi try matt karna, warna….han!!! khair …Par aaj humein ye fruits khareedane padte hai aur jab bhi hum kharedane jaate hain hum “Mungeri lal” ki tarah haseen sapno mein kho jaate hain…!! Aur sapne tootate tab hain jab unke bhaw sunte hain…Amrood 40/kg, Jamun… oh noooo…aajkal 40-60 rupaye paaw…!!!! Kachche Aam (Mango/Amiya/Tikola) jisse hum eint maar ke tod lete the woh 10-12 rupaye ka ek!!! Aur ek baat jaante hain aam ke ped pe kyun nahi chadhte the hum? Kyunki unn ped pe “Matta (Laal-laal moti-moti cheetiyan) hoti thin…jo ek baar lipat jaye toh bhangada se lekar break dance sabbbb karaa de! 




Shareefa
Arre ek cheez batana toh bhool hi gaya…”Shareefa” ye bhi hum chura ke hi khaate the…kachcha lekar aate aur Gehun (wheat) ya chawal se bhare drum mein chhupa dete, woh pak jaata, phir hum khaate, agar shareefa nahi pata toh pic mein dekh lijiyega…samjh jaiyega…aapne bhi zaroor khaya hoga…iss series mein papita (papaya) bhi aata hai, use bhi hum gehun ya chahwal ke drum mein chhupa ke pakaate the.  Ek aur phal TOOT (shehtoot) kya mazaa tha, khatta meetha!! Phir pani aa gya munh mein. Basically Shetoot meetha hota hai par hum usse meetha hone hi nahi dete the, issi liye taste khatta-meetha ka aata tha. 

* Ek do comedy aur tragedy wali story bhi hai…pehle tragedy phir comedy. 

Ber
Tragedymujhse bade bhaiya (2 saal bade) Pappu bhaiya aur unke dost aur mere dost, poora group, sab mil ke ber khane nikale…ber ke ped pe bhi chadh nahi sakte kyunki uski tehniyaan kateeli jhaadiyan type ki hoti hain, toh hum eint-patthar ka sahaara liya karte the, par size apne hath ke hisaab se hua karti thi, lekin bhaiya ne aadhi eint utha ke de maari, aur who eint ooopar hi gayee phans…humein pata nhi chala ki hua kya…tab tak doosare friend ne ussi daali pe eint de maari nateeja phansi hui eint aa giri mere sar pe…tab kuchh samjh nahi aaya, par jaise hi hath gya sar pe, unliyon mein laga khoon…oye hoye...phir nikli munh se cheek!!! Bhaiya dar k maare ho gaye ghayab, aur main rota hua pahuncha ghar, ghar pe hahaakar macha, wajeh kya bataun, jhooth bol ke bhaiya ko bachaya, par khud ko 3 stitches se nahi bacha paya aur na hi khud pe lage ban se rok paaya...jee han! kuchh dino ke liye mastiyon pe lag gayee ban!! 

Comedy: School jaana aur school se lautana…ek hi raaste se hua karta tha, aur dono hi taraf se ye fix tha ke raaste pe aane wale baaghiche mein hum ruk kar Jamun khayenge, phir wahi ber todane wali group ne jamun toda aur khaya, ek din khaate-khaate ek beej mere gale ke neeche utar gyee, ab meri haalat kharab ki ab kya hoga, tab tak bhaiya ne bataya ki ab sar ki taraf se jamun ka ped nikal jayega, humari haalat hui aur kharab. Ghar pahunche aur ek corner wale room mein baithe ro rahe the tabhi wahan baaji (Didi) pahunchi, who hairaan ke idher akela kyun ro rha hai, Baji ke bare mein ek baat bata dun, who bhale hi meri behan thi par mujhe bête ki paala hai, toh aap samjh sakte hain unko tadap kitni hui hogi, mujhe rota dekh kar, par uss dard ka chhoo mantar tab hua jab humne wajeh bataayee, who bhi thahaake laga ke hansane lagin aur saare ghar mein baat phail gayee aur sabki hansi phoot padi!!! baat hi kuchh aisi thi ki hansi ke siwa kuchh aa hi nahi sakti thi. ghar walo ne ek line aur jod di ki chalo ghar mein hi jamun ka ped hoga aur hum haath badha badha ke tod liya karenge...!

        Ek aur Comedy story hai par woh phal ki nahi chini (Sugar) ki chori ki hai…Bihar ka chhota shehar aur bijli ki waisi hi tangi thi, bachpan ki baat kar raha hun, ab toh khair sambhali hai kuchh haalat bijli ki, uss dauran andhere se yaaraana tha humara, par confusion dabbe ne create ki. Chini khane ki aadat bachpan se thi aur almost har bachche ko hoti hai…unn bachchon mein main bhi ek tha, par humaare ghar mein chini aur chai ki patti dono ek jaise dabbe mein hi rakhi jaati thi…samjh gaye shayad aap? khair andhere mein sirf shakl dikhi dabbe ki, par dhakkan khula mere aqal ka….chini ki jageh chai ki patti phaank li aur phir aangan mein naali ke paas ulti shuru…chori pakdi gayeee!!!

Waise aap bhi soch rahe honge ki jab bachpan mein itni chori ki hai toh ab kyaa haal hoga…? Toh hum bata dein ki yahi toh bachapana hota hai… “Laalchi bachpan” phir jaise jaise hum bade hote hain toh sahi ghalat ko samjh paate hain…waise laalach jab paida ho jaye aur inn sab phalo ki chori ka mauqa mil jaye toh aaj bhi hum baaz nahi ayenge aisa lagta hai…kyun ki “dil toh ab tak bachcha hai”!!! Ye sabne kiya hai aur sab karenge…kyunki sabhi ke dil mein “humesha ek bachcha zinda rehta hai” aur agar kisi din ye mar gaya toh samjh lijiye “Thakur toh giyo”…!!

"AwaZ"

No comments:

Post a Comment