Agar apke ghar mein bachche hain
aur unhein achhi education dena chahte hain toh kamar kass lijiye, aur 2-4 jodi
joote chappal le lijiye…kyunki ab aap ban gaye hain “RACE” ka "GHODA"…daud-daud
ke ye saare ghiss sakte hain…par han! daudane se pehle sone ke chane zaroor chaba
lena…kyunki yahan “jitni jeb bhari utni hi tez bhag payenge aap”…!!! Waise
ho sakta hai apke liye ye sab naya na ho…par jinhone ye mausam nahi dekhe hain
“unke liye toh suhaana ho sakta hai, ya yun keh lein sambhalne ka achha bahaana
ho sakta hai” 2 Experiences jo shayad apko chaunka de aur kaam bhi aaye.…
1. Mera
ek friend hai, ek MNC mein Software Engineer, 4 saal ki beti, hoshiyar,
educated (Yani English bol leti hai), uske admission ke liye 60K donation kii zaroorat…jiska
apko receipt nahi milegi…kyunki ye “ameeron ke liye daan” hai, iss donation se
apka tax bhi save nahi hoga, khair…par mere friend ki ‘PYAAS’ thodi zyaada thi,
achha kamaata hai, toh usse kaha gaya ki “itna ....hai, ab apki marzi aap jitna....de
dein ‘badhakar’, usne race mein First aane ki than li thi…sawal beti ke future ka tha...usne diya 80K…who
bewakoof bhi nahi hai kyunki usse pata hai Test mein Qualify bhi ho jaye toh uske
marks uske donation ki value mein add kar ke hi calculate hoga…aur jab baat
aisi thi toh usne risk nahi liya jeb thodi aur halki ki…toh seat confirm ho
gyee…Congratulation!!!! Ab beti TOP toh zaroor karegi…na kahin toh shayad apne
ghar mein hi TOP aa jaye…it's not a comment but near to reality!
2. Ek
aur friend hai aajkal who bas depression ke qareeb pahunchane wali hai…har din
uthate-baithate bete ke admission ki chinta mein rehti hai, par baithi bhi nahi hai…chappalein ghiss rahi hai…har achhe school ki site pe survey, logon se mashvira, par samne khadi thi Donations ki deewarein 1 Lakh 20 thousand, 1
Lakh, 80 K, 70k, 60k etc. Budget utana nahi…par school bhi ache
chahiye…Education se leke safety-security tak sabbb perfect hone
chahiye…teachers atleast B.Ed. toh hone hi chhaiye, class room se outdoor sab clean
and healthy environment bhi chahiye hi…toh jitni chahat utni moshakkat…at last 75k
wala school pasand aaya… Interview clear…Written Test…idher maa bete ki qabliyat pe confident
ki test qualify kar hi lega…udher school confident ki ab toh ye admission legi hi…iss becch Parents ke zehan mein ek sawaal utha ki “kahin school mein paise doob toh nahi jayenge”
raqam moti thi toh dar bhi bhayawah...aur iss dar ki wajeh bhi thi…yahin pe "Delhi Public School” ke naam se, uski franchise lekar ek
hungaamedar school ki opening hui, parents ne “dedh se 2 lakh tak” donation bhi diya, dhadalle se bachche ke bhawishya ke peechhe daud lagaye gaye par koi tha jo inse tez daud raha tha...BEIMAANI...Khoob admission liye gaye aur Kuchh dino baad sab lekar rafu-chakkar!!! Naam-o-Nishaan tak nahi bacha...par isne ab thandhi saans li bete ka ADMISSION ho gaya munh se nikla "BAHUT BADA KAAM HO GAYA"
Ab Kuchh sawal
“Kya ANGREZI ki qeemat itni zyaada, Kya hum ANGREZ banaana chahte hain, kya hum
school ke roop mein “apni beti ko vida
karne ke liye achha ghar dhoondh rahe hain” ya phir kya kal ko sirf 99%
obtain karne walon ko hi Oxygen milega!!! Dr. Rajendra Prasad “Swatantra Bharat
ke Pehle RASHTRAPATI” pata hai shuruati education unko ek maulavi se
mili thi…”Persian Hindi aur Arithmetic” ki, phir Chhapra (BIHAR), phir Kolkata…yani uss
zamaane ke craze se, unhone mehsoos kiya hoga “ no need to go abroad” aur unke
copy pe kya likha gya tha Examiner ke dwaara "examinee is better than examiner" yani
“pariksharthi prikshak se uttam hai”. Mere NANA, jo mere Role Model the, aaj
bhi hain aur humesh rahenge… kya who
kisi se kum the English, Persian, Arabic aur Hindi-Urdu mein, Suleman Chacha,
mere muhalle ke Post office ke “DAAK BABU” Nana ke Jodidaar…Arabic, Persian,
English, Hindi sabbb bilkul saaf n attractive…!!! Bhaiyon aur Bhaiyon ki
behno…humein abchchon pe waqt dene ki zaroorat hai baqi sab theek ho jayega…TOP
koi ek hi kar sakta…aur agar uski understanding level sahi hai toh usse TOP
hone se kisi ka <BEEP> bhi nahi rok sakta…toh ye maan lijiye sab ki
understanding level, sabka interest area ek sa nahi hota…iss liye zabardasti uski
TANKI full na karo…warna bachcho ki “TANKI” full ho jaye na toh phat bhi sakti
hai…Issi liye “PYAAS ghatao…kyunki Qeemat PAANI ki nahi PYAAS ki hai”