sochata hun kabhi, kabhi khud ko main dekhata bhi hun
kya uski nazar ka noor main ban sakta bhi hun
saada hai pairahan uska, husn bhi saada saraapa
kya uski saadgi ko main samjh sakta bhi hun
uska chehra mera aaina bane chahat hai yahi
kya uski tabassum ka bharam main rakh sakta bhi hun
aankhein hiran si, hoth bhi kanwal se uske
kya inki tarah sach main bol sakta bhi hun
ek nazar ispe....
har aate-jaate chehre se meri nazron ne poochha haikya tujhmein kabhi uski, jhalak main pa sakta bhi hun
woh husn hai main ishq hun, par dekhana hai iska
kya usko bhi yaqeen, main dila sakta bhi hun
do qadam jaana ke sath, chale toh the magar
kya qadamon ko aage, main mila sakta bhi hun
main 'awaz' hun nasha hai uska rag-rag mein mere
kya aage bhi ye khumaari main le ja sakta bhi hun...
"AwaZ"
No comments:
Post a Comment