Wednesday, September 25, 2013

T-point is always dangerous…..!!!



Bachpan mein suni hogi, tote wali kahani…

     “shikari aayega,  jaal bichhayega, dana dalega, lobh se usmein phansana nahi”

Aur yaad hoga iss line ko ratate-ratate Tota (Parrot) jaal mein phans jaata hai. theek aisa hi hua humaare sath bhi…”Chhota sa Accident” lekin “Chot Kafi gehri”, shayad apko bhi mehsoos hua ho kabhi,  jab apki “Ram Pyari” ko halka kharonch bhi aata hai toh dil se betahaaaasha dard behta hai…Ek baat aur, Jab hum Car drive kar rahe hote hain toh uss dauran ek “Blind Spot” aata hai..jismein humare vision ka fusion ho jaata hai nateeja saaf nahi dikhta…seedhe kahein toh dikhta hi nahi hai…aur who hota hai apke front glass ka  left corner…(metal wala frame).!! Aisa hi hua, kal main office ke liye aa rha tha…speed 10km/hr, jismein aap bakhubi car ko control kar sakte hain…par jab dosara na sambhaal paye toh!!! Toh phir aap khade bhi hain toh apka bura samay shuru ho jaata hai…!
                T-point pe main horn dekar aage badh raha tha…mujhe right turn lena tha…toh pehle right side dekha…line clear tha…Left side dekh hi raha tha ki laga Kuchh aaya…par who tha Car ka Blind Spot…aur tabhi “dhadaaaaaam!!! Aur phir …. Cheeeeeee!!!!”. Mera left side ka bumper aur head light pe achha-khaasa scratch aa gya…kisi ko bhi pata chala ki mere sath aisa hua hai toh ek hi sawal “Tumhein toh Kuchh nahi hua na” par ye kum logon ne poochha “Ram Pyari ko zyaada toh nahi lagi na” par inn sabse alag uss situation mein maine socha… “Saamne wali gaadi ka kya hua hoga” jab utar kar dekha toh afsos hua…dono door buri tarah damage…ander ki taraf dhans gaya tha, jabki ghalati meri nahi thi …ye bhi maine hi decide kiya…kyunki T-point pe Horn ke sath nikal raha tha…waise bhi mere dost kehte hain “Tum horn bahut bajaate ho yaar” matlab ye ki maine ishaara kiya hi hoga ki main aa raha hun…phir bhi ye ho gya…! Wahan ruki public ne mujhse poochha “ghalati kiski thi” Kuchh nahi keh saka…aur phir dono wahan se apni-apni car le ke chal pade….Office pahucha aur Din bhar Office mein dil nahi laga, ek baar ye bhi socha ki ghar jaa ke araam se so jaun shayad cool ho jaun… colleagues ne kaha… “ghar pe bhi aap pareshan hi rahege isse achha hai yahin work mein khud ko busy kariye…” koshish bahut ki par sirf waqt kata par who tension waisi ki waisi full size mein rahi…aur dekhiye na pareshani khud ki gaadi ke liye nahi…unke liye jiska aisa hone mein main wajeh nahi hun par naam jud gaya tha, meri team ke saare member dono gaadion ka muaayena kar aaye…kyunki Takkar hui bhi toh meri hi co. ki HR manager ki gaadi se…sab laute toh itna hi kaha…”Sir, thuki toh apki gadi hi zyaada hai aur aap unki tension mein ho…maine kaha nahi tum logon ko nahi dikha hoga…phir main apni udaasi ke aghosh mein chala gaya aur taye kar liya ki “aaj hi CAR bech dunga”…par sabne rok diya…yahan bhi wajeh main nahi koi aur tha…jiska final dicision tha…usne kaha “matt becho aur sambhal ke chalao” phir jaa ke mann hua shant…par car ko sambhal ke nahi chalaya…balki sambhal ke rakh diya….!! Arre nahi chalaunga yaar par thoda sambhal toh jaunnn….!!!

Moral of the story…”Car pe lagti hai toh dil se dard behta hai…safe chalao aur khud ke sath doosaron ko bhi safe rakho”. Have a cool driving…..

Tuesday, September 24, 2013

Lata di main haar gayaaaaaaa…

Main Adil, RJ hun, Twin Cities Rainbow 101.9 FM par, Jiski tag line hai “Rainbow ke sath Life rangeen” aur yahan Twin Cities ka matlab hai Hyderabad aur Secundrabad…aur iss twin cities ke entertainment ka ek khubsoorat platform hai “FM Rainbow” jahan par mere haseen twin shows broadcast hote hain….. Show ka pehla ghanta  “Geet  Gaata Chal” aur doosara ghanta “Dil Ki Baat Adil Ke Saath”. Issi Monday 23rd Sept 2013 ki baat hai…Show ke shuruat mein hi maine keh diya tha “Friends aaj main ek khubsoorat jokhim lene ja raha hun aur aap se guzarish hai ki aap ismein  meri madad karenge”, wajeh saaf thi “2 ghante aur 1 lata di”, phir bhi waqt pal bhar mein sarak gaya aur unke saare gaane play karne se mehroom reh gaya… 

                  
            Show ke do ghante guzar gaye aur main yahi sochata reh gya ki…
 
Kya main satisfied hun…?

Par dil ki awaz …”tum adhoore ho”

Seriously…ek ek song ko dhoondh kar le gaya tha, jo  mashoor
the aur jo rare the woh bhi… jitne mujhe pata the who bhi aur jo nahi pata the usse bhi dhoondha…phir bhi har pal yahi lag raha tha ye bhi chhoot raha hai, arre woh bhi reh gaya…theek waise hi jaise exam shuru hone se pehle humein lagta tha, “ye wala padhna reh gya..oh no usse toh padha hi nahi”. 11 saal ke RJ career mein itna tense kabhi nahi hua na hi itni kathin ghadi guzri kabhi…show shuru hua aur farmaishein bhi shuru huin…dhoondh-dhoondh ke rakhana bhi shuru kar diya…par jab 5pm ke baad Phone-in programme shuru hua toh itni farmaishein aayeeen ki jiske 10% hi mere paas the …phir silsila shuru hua “searching” ka…yahan tak ki mujhe online song play karna pada par farmaish sabhi ki poori nahi kar paya uar baj gaye 6… literally main sar pakad ke baith gaya aur zubaan se nikla 

“Lata di main har gaya….”

Lekin "Dil ki Baat Adil ke Sath" mein anginat Callers ke Lata di ko diye gaye dhero shubhkamnaon se khud pe garv hua mere swayam ne kaha ki "aaj maine kuchh kaam kiya hai"...phir raat ko jab maine Facebook log in kiya toh usmein aaye ek msg ne Dil aur Dimaagh ko sukoon pahunchaya…!!

“Hi.... Hatts off adil... aaj ke show ki tarif Karne k liye mere paas words nahi hai... aaj Mann se ek dua nikal rahi hai k tumhe Meri bhi umar lag jaye... mai rahu na rahu tum aise shows hamesha krte raho aur lataji k saare song kam padh jaye .aur tum unhe sunate raho....”

Song List:

1. Jaane kyun Log mohabbat   :       Mehboob Ki Mehandi
2. Doori na rahe koi aaj itne     :      Kartavya
3. Aaja re pardesi, main toh     :      Madhumati
4. Naam Gum jayega, chehra   :      Kinara
5. Satyam Shivam Sundaram    :      Title Song (One of my fav. songs)
6. Kaanta Laga, hi laga            :      Samadhi
7. Roz Shaam aati hai, roz        :      Imtehan
8. Milti hai zindagi mein            :     Aankhein
9. Koi Patthar se na maare       :     Laila Majanu
10. Koi nahi hai phir bhi hai      :     Patthar Ke Sanam
11. Tujhe Dekha toh ye jaana   :     Dilwale Dulhaniya Le ke Jayenge
12. Hansta hua noorani chehra :     Parasmani (requested by 10th class Student)
13. Dil ka Diya jala ke gaya      :     Akashdeep
14. Jyoti Kalash Chhalake        :     Bhabhi Ki Choodiyan