Thursday, November 15, 2012


GHAZAL likh rahe hain...


 
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain
bitaye jo Zindagi ke sang woh pal pal likh rahe hain 
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...

suna tha humne PARWANA SHAMA pe fanaa hota raha hai
par hum DONO ne jo saath sahi woh, JALAN likh rahe hain 
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...
  
kabhi manzil bhi ek thi, rehguzar bhi ek thi HUMARI
par ho gaye ek din HUMARE raaste jo alag likh rahe hain  
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...

kabhi kayee shaklein har pal unmein hi samayee dikhti thin
ab har chehre mein dhoondhati hai nazar, unki shakal likh rahe hain 
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...

kabhi pal bhar ki jaudai bhi QAYAMAT si lagti thi HUMEIN
Ab namumkin si jo ho rahi hai, woh MILAN likh rahe hain
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain... 

kabhi khuli aankhon se jo dekhe the HUMNE, woh sapne toot gaye
bikharne se ab tak bachaaya tha jisne, woh PALAK likh rahe hain
 afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...

kabhi socha tha apni GHAZAL ke ek-ek lafz ko ubharenge
par mil na saki AWAZ ko woh mohlat likh rahe hain
afsaana nahi hum ek haseen GHAZAL likh rahe hain...

 .....AwaZ