Ek aur Show 101.9 FM pe, “Dil Ki Baat Adil Ke Saath” socha tha ki
zara ye bhi janoon ki “log khud ko kaise sambhalate hain, jab unhein kisi ki
lat yani aadat lag jati hai…yahan baat paan, beedi cigarettes ya phir sharab ki
nahi chalni thi , balki ye lat thi “Insan ko Insan ki” …Sochiye aap bhi agar aapko kisi insan ki aadat lag jaye” toh
kya karenge aap?

Kayee
jawab aaye, par Kuchh jawab aise the jo waqai appreciate karne layaq the…isko
decide aap bhi kar sakte hain…aur yahan par mere likhne ka matlab bhi yahi hai,
jo bhi kami ho usse aap poori karengen…
1. Ek
bande ne kaha ki Adil “hum insaano ke ander do (2) mode inbuilt hote hain “SAVE”
& “DELETE” aap usska bakhubi use kar sakte hain…” Iss baat pe mujhe bahut
tagadi hansi aayee…literally main phoont ke hanss pada…phir jo e line usn boli meri
bolti band ho gayee, main silent mode mein chala gaya…usne kaha ki…”Yaqeen
maniye Adil, humaari soch inn dono mode ko control kar sakti hai, par uske liye
apko taiyaar rehna padega….maine clap bhi kiya…!
2. Ek
aur listers thin unhone apni beti ka hawala dekar kaha ki…hum usse itna attach
hain ki school chali jaati hai toh zindagi mein ek khalipan sa aa jata hai…toh
main uske toys, kapde yahan tak ki uski tasweer dekh kar waqt kaat lete hain…ye
bhi mujhe khubsoorat jawab laga. Para yahan uske lautane ki ummeed hai tab
asaan hua par jab ummeed chhoot jaye ki koi jakar dubara laut nahi sakta toh.
Toh ek bada hi simple sa raasta bataya
maine aur ek she’r ki 2 lines padhi maine…jo meri life mein kaafi mayene rakhti
hai…aur who she’r aisa hai
“na itna toot ke
miliye ki dil ko shak guzre
Khuloos mein bhi
zaroori hai faasala rakhana”
Yahan khuloos ka matlab “Attachment,
relations” etc. maineye kaha ki kisi bhi relation ki shuruaat mein hi humein
taye karna hoga ki ye kahan tak jaana hai aur itna zaroor sochana hai ki jo
aaya hai woh jayega! Aise mein ye dooriyan ummeedon se compromise karana sikha
deti hain, Gulzar sb. ne bhi apne “Pukhraj mein Kuchh aisa hi likha hai…ki,
Takiye pe tere sar ka
wo tippa hai, pada hai
chaadar mein tere jism ki wo sondhi-si khushboo
haathon me mehakta hai, tere chehre ka ahsaas
maathe pe tere hothon ki mohar lagi hai
Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhun kaise
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun
chaadar mein tere jism ki wo sondhi-si khushboo
haathon me mehakta hai, tere chehre ka ahsaas
maathe pe tere hothon ki mohar lagi hai
Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhun kaise
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun
Iske 2 line pe ghaur karo aap log….
“Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhun kaise
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun”
thodi-si alag ho to tere chehre ko dekhun”
distance rkhne me khasa anubhav rkhte hain aap apki likhawat se lgta hai aisa
ReplyDelete