Main aur meri tanhai aksar ye baatein karte hain
Tum hotin toh kaisa hota
Tum ye kehtin, tum who kehtin
Tum iss baat pe hairan hotin….waghairah waghairah…!

“Kabhi kisi ko
mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen toh
kahin aasman nahi milta”
Ye ek kadwa sach hai…jiski ghoont
hum sab ko lagaana chahiye… hum sab ko isse qubool karna chahiye aur phir ek
khud ka jahan banaana chahiye jahan hum simatkar apne samne padi khushiyon ko
enjoy karein na ki ateet ki baton mein inn khbsoorat lamho ka QATL karein…kyunki
waqt sarak jaye toh muthi khali ho jati hai…aur kehte hain khali mutthi khak ki
hoti hai…yani aap iss jahan ke sabse ghareeeb insane hote hain…toh hum apne khayalon
ki haseen duniya se bahar aayein phir dekhein duniya kitni haseen hai…Ek lafz
hota hai “QAYAAS” jo khayali duniya ka humsafar hota hai…jo shayeri main ne
shuru mein padhi thin a…”main aur meri tanhayee…” uss mein ye saaf-saaf jhalakta
hai…jo sach hai aur normal n common bhi hai…kisi ke sath bhi hota hai, ho sakta
hai…par iska asar… “bahut hi abnormal” hota hai…isse apka aaj aaj toh gaya hi
kal ka behtar hona bhi mushkil ho sakta hai …Qayaas ka kya…hum Kuchh bhi laga
lein…ab aap hi sochiye “Hindustan mein Mughal nahi aaye hote toh kya hota…agar
che Pakistan-Bharat se alag nahi hua hota toh kya hota aur agar Hindustan ne Angrezon
ko ghulam banaya hota toh kya hota!!! Ye sab bas khayalon mein achha lagta hai
zameeni sach banane mein Kya ho sakta hai ye aap bhi jaante hain…par jaankar
bhi hum banate anjaan hain…ye sab peechhe ki baatein hain saamne jo ho raha hai
wahi sach hai aur ye apke kal pe seedha asar daalega…aur apko bas yahi sochana
hai…so let’s move on aur aaj ko banaate hain aur isse apna samjhkar isse jee
bhar jeete hain…aur Shayari ka rang Kuchh aisa rakhte hain…
Main aur meri wife aksar ye baatein karte hain
Tum nahi hotin toh kaisa hota
Tum ye kaise kehtin, tum who kaise kehtin
Tum iss baat pe hairan kaise hotin….
Tum meri baton pe kaise hanstin
Main aur meri wife aksar ye baatein karte hain…..
Bakwas hai sb
ReplyDelete